Artist/Lyrics- Afzar
Video Edited – Afzar
Facebook –
instagram –
Shayad Main
Spoken word
Lyrics :Shayaad mai kuch nahi ban paunga
Sab kehte hai sach kehte hai
Par sard Bhari Raton mai
Jab sab chain ki nind so jate hai
Tabhi bhi toh kam karta hu na mai
Har teohar bhari sham mai
Jab har koi khushiyo tale rang jata hai
Tabhi bhi to kaam karta hu na mai
waqt mera badal ta nahi
Per log badal jete hai har roz
Kavi boss ki gali
kabhi ghar walo k tane
Zindagi younhi bitali bina kiye koi bahane
Paisa khatam hone ka gam nhi hai mujhko
Per lagta hai ab umeed khatam ho rahi hai har roz.
Shayaad mai kuch nahi ban paunga
Sab kehte hai sach kehte hai
Pyar mai bhi fail hua hu mai
Shayaad dosti nibhani v aaati nhi mujhko
Per har Pal har lamha durso ke liye hi jineki kosish Kia karta hu na mai
Haan azad ghuma karta tha mai v ek zamne mai
Per aaj in zanjiro mai hi uljha hua sa rehta hu na main
Ha Shame rangin hua karti thi meri bhi kabhi
Par aaj logo ko hi rang badalte dekhta hun na main…
Shayaad mai kuch nahi ban paunga
Sab kehte hai sach kehte hai
Jab noukri ki talash thi tab mili nahi
Jab padhne ka maan tha tab fail hogaya
Par in nakamiyabion ko sath lekar bhi jiya karta hu na main
Ha parinda nahi hu, udd nahi sakta
Par in dushit hawaon ke rokne ke bawajut bhi pankh leherane ki kosish kiya karta hu na main…
Shayaad main kuch nahi ban paunga
Sab kehte hai sach kehte hai
source
Darun bro
Darun
Vlo likhe6o.. Afsar da…… ❤