Musafir – Farhan Khan × GRAVITY {LYRICS VIDEO)|Prod. by Gums |Tumit s | Hindi Rap Song 2020



Musafir is the first single and the last track off of Lokal Gang emcees Farhan Khan and GRAVITY’s much awaited joint EP “C4” (Chappa Chappa Charkha Chale). The song is a trip where both the lyricists take the listener on a journey of their artistic ways and how they’re making it through despite everything that comes in their way.

Visuals by Prerna Roy:

Mixed and mastered by Rebel 7:

Lyrics:
Hook:
Musafir zindgi chal raha hai kaafila
Manzilo se fasla tho rasto se kya gila
Khwabo ki talash ankh khole soliya
Ho liya mai sath uske raasto mai jo mila x2

Safar mai na rukte kabhi
Ub kaatein taras khake chubte nhi
Har kadam bhadana ibadat ke jesa
Or yaha pe imaan bikte nhi

mera raaton se rishta najayaz
Chup chup ke likhta ye shayar
Kamalega likh ke sab puchte mujhse
Mai sochke kehta hun shayad

Mai behti hawa mai hoti subha par dhire dhire
Sidiyan nashein mai ladkhadati or mai chalta sidhe
Na mujhse bichadna andhere ye kehte
Par bethe hain aag ko sine mai leke
Jaladun mai sabko ye gulliyan ye kasbe
Mohalle shaher or ye sadkein ye raste

Ye kashti na dube kabhi
Mehfil ye galib ki jhoome sabhi
Jismani pyaar na bilkul kala se
bas peshani Shabdo ki chume kavi

Or safar mai saare deewane hum sath mai gungunate la la la ,
rukne ki chahat kisi se bhi pucho sabki zubaan pe naa naa naa

Hook:
Musafir zindgi chal raha hai kaafila
Manzilo se fasla tho rasto se kya gila
Khwabo ki talash ankh khole soliya
Ho liya mai sath uske raasto mai jo mila x2

[Verse: GRAVITY]
Naabalik tha ladka hu tabse musafir mai,
Ghumta raahon pe, khudke na kaabil mai.
Aaina kahe ki kaun hai tu? Samandar ka sahil mai.
Lehre chhuke kahe, “Mere kavi, rakho dhyan ke ghaav yeh faile nahi.”
Doobe jo naav hum taire nahi, mere gehne tajurbe, yeh maile nahi.
Shayari ka shauk nahi, mehfil kahe irshaad-irshaad,
Dil na toota girne se toh kiske sar ilzaam iss baar?
Khudki roti pe hi paer deke bhookh se sauda karlu,
Chaen chhina tune kaafi, chhin le yeh jaan iss baar.
Aage kya hona hisaab iska? Anjaane taraane, mai kya likhta?
Gaane bhi mere musafir, likhne gaane, jitne kadam mai chala firta.
Haathon mai samaaj ki bedi, ban chuka mai bhediya,
Par fir bhi thaira mai musafir, khaale rehem aur khol yeh bediya.
Musafir zindagi se dard chhupake kya mila?
Mai sar uthaake jeeta, sar jhukake tujhko kya mila?
Raaston pe gharke sapne dekh unme jee lu,
Zinda rehna gumshuda jaise yeh meri Anamika.

Hook:
Musafir zindgi chal raha hai kaafila
Manzilo se fasla tho rasto se kya gila
Khwabo ki talash ankh khole soliya
Ho liya mai sath uske raasto mai jo mila x2

Bombay Lokal.©

source

© 2024 Lyrics MB - WordPress Theme by WPEnjoy